yunhi fareb-e-nazar ki tanab tutti hai qadam badhaiye mauj-e-sarab tutti hai jahan chatakta hai ghuncha zamin-e-alam par wahin pe tishnagi-e-aftab tutti hai naqab uthao to har shai ko paoge salim ye kaenat ba-taur-e-hijab tutti hai darun-e-ab sanwarte hain sad-harim guhar kanar-e-bahr jo mehrab-e-ab tutti hai mukashafat ke tukde hain zehn ke auraq kitab utarti nahin hai kitab tutti hai bas ek aan mein khulta hai qufl dariya ka bas ek aan mein qaid-e-hubab tutti hai hain is shikast mein khalq-e-jadid ke asrar haqiqat aaj bhi ham-rah-e-khwab tutti hai kamal shai hai kamar bhi hasina-e-gham ki jilau mein le ke kai inqalab tutti hai