but bhi is mein rahte the dil yar ka bhi kashana tha ek taraf kabe ke jalwe ek taraf but-khana tha dilbar hain ab dil ke malik ye bhi ek zamana hai dil wale kahlate the hum wo bhi ek zamana tha phul na the aaraish thi us mast-ada ki aamad par hath mein dali dali ke ek halka sa paimana tha hosh na tha be-hoshi thi be-hoshi mein phir hosh kahan yaad rahi khamoshi thi jo bhul gae afsana tha dil mein wasl ke arman bhi the aur malal-e-furqat bhi aabaadi ki aabaadi virane ka virana tha uf-re baad-e-josh-e-jawani aankh na un ki uthti thi mastana har ek ada thi har ishwa mastana tha shama ke jalwe bhi ya-rab kya khwab tha jalne walon ka subh jo dekha mahfil mein parwana hi parwana tha dekh ke wo taswir meri kuchh khoe hue se kahte hain han han yaad to aata hai is shakl ka ek diwana tha ghair ka shikwa kyunkar rahta dil mein jab ummiden thin apna phir bhi apna tha begana phir begana tha 'bedam' is andaz se kal yun hum ne kahi apni biti har ek ne samjha mahfil mein ye mera hi afsana tha