buton se kuchh na hua jo hua khuda se hua dawa se kuchh na bana jo hua dua se hua bharam daraazi-e-daman-e-yar ka na raha ajib kaam mere dast-e-na-rasa se hua dilon ko sabr-o-sukun to na mil saka lekin koi to kaam teri chashm-e-ba-haya se hua laga di aag si jangal mein nab-karon ke ye faeda to meri aatishin-nawa se hua dilon ko ishq ne bakhshi hayat-e-gham-afza ajab nishana khata tir-e-be-khata se hua qalandaron ne ulat di bisat-e-mai-khana na rind se hua aur kuchh na parsa se hua mukhalifon ki bhi jo dushmani se ho na saka wo kaam ek mere dam-saz-o-ashna se hua na kuchh bhi kar sake ashab-e-fil the to bahut jo kuchh hua tere darwesh-e-be-nawa se hua ghutan to dil ki rahi qasr-e-marmarin mein bhi na raushni se hua kuchh na kuchh hawa se hua wo ek qatl ka ilzam sar pe tha so raha qisas se na hua kuchh na khun-baha se hua