chaak ho parda-e-wahshat mujhe manzur nahin warna ye hath gareban se kuchh dur nahin sajde karne se mita khatt-e-jabin ai zahid hum kahe dete hain qismat mein teri hur nahin mohtasib mane'-e-'illat hai guman-e-mai se sunghne ko bhi mayassar mujhe angur nahin lab tak aai thi shikayat ki mohabbat ne kaha dekh pachhtaega khamosh ye dastur nahin raat din nama-o-paigham kahan tak honge saf kah dijiye milna hamein manzur nahin tum ne di kohkan-o-qais se mujh ko nisbat koi diwana nahin main koi mazdur nahin kya kare 'dagh' koi us ki mohabbat ka ilaj wo kaleja hi nahin jis mein ye nasur nahin