sahil-e-intizar mein tanha yaad wo lahar lahar aae mujhe dasht-e-diwangi ke tilon par raqs karti hawa bulae mujhe ajnabi mujh se aa gale mil le aaj ek dost yaad aae mujhe bhul baitha hun main zamane ko ab zamana bhi bhul jae mujhe ek gharaunda hun ret ka paiham koi dhae mujhe banae mujhe ek harf-e-ghalat hun hasti ka nesti kyun na phir mitae mujhe dafatan mere ru-ba-ru aa kar aaine mein koi darae mujhe aandhiyan kyun meri talash mein hon ek jhonka hi jab bujhae mujhe jaise ek naqsh-e-na-durust ko tifl koi andar se yun mitae mujhe rakh apni umang ki hun 'raza' aa ke jhonka koi udae mujhe