buton ka zikr kar waiz khuda ko kis ne dekha hai sharar-e-sang musa ke liye barq-e-tajalla hai ye hindustan hai yan par buton ka roz mela hai khuda jaane wo but ai 'mehr' dewi hai ki durga hai tasawwur us sanam ka hai hamein kabe se kya matlab charagh apna hai dagh-e-dil hai jo mandir mein jalta hai juda hai nemat-e-duniya se lazzat bosa-e-lab ki wo jogi ho gaya jis ne ye mohan bhog chakkha hai bata jaez hai kis mazhab mein khun-e-be-gunah zalim tu hindu hai musalman hai yahudi hai ki tarsa hai kiya kafir ne kafir 'mehr' se mard-e-musalman ko janeu rishta-e-tasbih dagh-e-sajda tika hai