buton ka zikr karo waiz khuda ko kis ne dekha hai sharar-e-sang-e-musa ke liye barq-e-tajalla hai ye hindostan hai yan parbaton ka roz mela hai khuda jaane wo but ai 'mehr' debi hai ki durga hai ye hindostan hai yan parbaton ka roz mela hai koi kali-bhawani koi debi koi durga hai butan-e-hind mein nam-e-khuda kab koi tujh sa hai teri zulfen hain kali ai sanam tu aap durga hai dil-e-nalan tumhaare halqa-e-gesu mein kahta hai main hindostan mein hun kafiron ne mujh ko ghera hai ye kis kafir ki khatir 'mehr' chakkar mein tu rahta hai ye kis ke waste gardish falak ke charkh puja hai siyah rumal gori gori gardan mein lapeta hai gale milwa diya sham-e-sahar ko kya tamasha hai gala wo gora gora us pe ek rumal kala hai wahi aalam meri aankhon mein ab din-raat phirta hai tasawwur us sanam ka hai hamein kabe se kya matlab charagh apna hai dagh-e-dil hai jo mandir mein jalta hai kiya hai khun mere dil ka balidan is ko kahte hain gham-e-furqat wo kafir hai ki durga path karta hai juda hai nemat-e-duniya se lazzat bosa-e-lab ki wo jogi ho gaya jis ne ye mohan-bhog chakkha hai shararat se shararat hai buto lillah baz aao jalate ho jo mere dil ko tum kya ye bhi lanka hai halal us ne kiya khun-e-musalman wae bedardi tera dast-e-hinai kafir ab ye rang laya hai hamesha hai ye nalan us sanam ki yaad mein yarab jase hum dil samajhte the wo naqus-e-kalisa hai bada andher hai kyunkar na ho dil ko pareshani sarasar pech karti hai bala zulf-e-chalipa hai ajab aalam nazar aaya tere kucha mein o qatil kahin koi sisakta hai kahin koi tadapta hai kahan wo qad kahan ye kunda-ha-e-na-tarashida na sarw aisa hai ne shamshad aisa hai na tuba hai bata jaez hai kis mazhab mein khun-e-be-gunah zalim tu hindu hai musalman hai yahudi hai ki tarsa hai sune murda to ji utthe badan mein ruh phir aae gale mein ai sanam nam-e-khuda kya tan palta hai khuda aalam hai mazmun-e-khayali hain tasawwur mein na mujh ko kuchh talluq hai na meri us ko parwa hai khuda jaane kiya kis but ne kafir ek musalman ko janew hai gale mein 'mehr' ke mathe pe tika hai kiya kafir ne kafir 'mehr' se mard-e-musalman ko janew rishta-e-tasbih dagh-e-sajda tika hai