jo tu nahin hai to lagta hai ab ki tu kya hai tamam aalam-e-wahshat ye chaar su kya hai kisi ki yaad mein aankhen chhalakti rahti hain to aur maslak-e-ushshaq mein wuzu kya hai udas kar gaya ye kaun masnad-e-gul ko ye shor o shain hai kaisa ye ha-o-hu kya hai tere huzur bhi apne hi masalon mein rahe samajh na pae ki aankhon ke ru-ba-ru kya hai sukhan-taraaz ho jab wo to aisa lagta hai dilon pe nur ki barish hai guftugu kya hai har ek aankh mein aansu har ek lab pe fughan ye ek shor-e-qayamat sa ku-ba-ku kya hai