buzurgon ne jo tahzibi asasa ghar pe rakha hai

buzurgon ne jo tahzibi asasa ghar pe rakha hai
lagaya hai use aankhon se main ne sar pe rakha hai

yahan ka ohda-o-mansab to mal-o-zar pe rakha hai
magar insaf hum ne arsa-e-mehshar pe rakha hai

tumhaare raste mein tirgi mail nahin hogi
chale aao diya hum ne jala ke dar pe rakha hai

mujhe ehsas-e-tanhai nahin mana ki tanha hun
jo khat likha hai tum ne wo mere bistar pe rakha hai

asar mushkil hai kuchh kahna bataun main tumhein kaise
hamara faisla to bas pas-e-manzar pe rakha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close