hum apne aap pe qabu jo pa gae hote

hum apne aap pe qabu jo pa gae hote
jo pal rahi hai wo nafrat mita gae hote

bade saliqe se banta hai hum faqihon ko
hum ek hote to duniya pe chha gae hote

ye bhuk pyas hamare gharon ki raunaq thi
jo yaad rakhte to hum ghar mein aa gae hote

kisi ki talkh-kalami muaf kar dete
lagi hai aag jo ghar mein bujha gae hote

ye chehra aaj asar dekh hum nahin pate
hum in ki han mein agar han mila gae hote


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close