kaise kaise KHwab ab hum ko dikhate hain ye log

kaise kaise khwab ab hum ko dikhate hain ye log
ek pagal ko yahan pagal banate hain ye log

jaane kya is mein raqam kar dala tha tu ne bata
itni nafrat se jo tera khat jalate hain ye log

meri fitrat hai mujhe mushkil-pasandi ka hai shauq
is liye aksar hi mujh ko aazmate hain ye log

hai gunahon par mujhe afsos aur wo dekhiye
sharmsari se yahan par munh chhupate hain ye log

jab se ye zahir hua ki dil mera hai aaina
mujh ko aata dekh kar patthar uthate hain ye log

rakh ke ek dher mein tabdil hoga ek din
phir na jaane kyon badan itna sajate hain ye log

main sarae ke nigahban ki tarah tanha raha
dil mein mehman ki tarah ab aate jate hain ye log

ras aata hi nahin hai sabr ka phal kyon unhen
jald-bazi mein hamesha munh ki khate hain ye log

umr bhar ladta raha jin ke liye main khud 'azan'
ban ke ab mere mukhalif sar uthate hain ye log


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close