chaak-dar-chaak hai phulon ki qaba sunte hain

chaak-dar-chaak hai phulon ki qaba sunte hain
panja-kash aaj hai gulshan ki hawa sunte hain

tum ne chheda to nahin saz-e-tabassum apna
tez hai dil ke dhadakne ki sada sunte hain

jaane kab rahguzar shauq ki hogi gul-posh
aaj guzre hain kai aabla-pa sunte hain

aap ke wada-e-farda ka yaqin hai lekin
ruh farsa hai bahut dasht-e-wafa sunte hain

shama dil hi ki jalao ki shab-e-tar kate
sar-ba-zanu hai charaghon ki ziya sunte hain

kya ilaj-e-dil-e-bimar ki surat na rahi
aaj hai chaaragari waqf-e-dua sunte hain

naghma-e-murgh-e-chaman ho ki kharosh-e-tufan
hum to har saz pe apni hi sada sunte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close