chaak dil mein hai salamat hai gareban mera kaun samjhega ilahi gham-e-pinhan mera pahle ye tha ki gham un ka dil-e-viran mera ab main apna hun na dil hai kisi unwan mera tang daman hun magar daman-e-dil tang nahin hai meri hausla-mandi sar-o-saman mera aaj zarraat-e-chaman bhi nahin waqif mujh se tha kabhi nam gulistan-ba-gulistan mera har nafas naghma-e-be-tabi-e-gham jari hai chhede jata hai koi saz-e-rag-e-jaan mera rukhsat ai sohbat-e-mai-khana phir aa jaunga rasta dekhti hai gardish-e-dauran mera qaid hun apne khayalat ki zanjiron mein ban gaya hai mera ehsas hi zindan mera apni be-nam adaon ko bachae rakhiye ye na ban jaen kahin haal-e-pareshan mera dil ki dushwar-pasandi ko dua deta hun kaam mushkil se hua karta hai aasan mera mere afkar ki khushbu hai kai phulon mein har gulistan nazar aata hai gulistan mera pas-e-adab-e-mohabbat mujhe 'shauq' itna hai chaak hone nahin pata hai gareban mera