chaak-e-daman ko jo dekha to mila eid ka chand apni taqdir kahan bhul gaya eid ka chand un ke abru-e-khamida ki tarah tikha hai apni aankhon mein badi der chhupa eid ka chand jaane kyun aap ke rukhsar mahak uthte hain jab kabhi kan mein chupke se kaha eid ka chand dur viran basere mein diya ho jaise gham ki diwar se dekha to laga eid ka chand le ke haalat ke sahraon mein aa jata hai aaj bhi khuld ki rangin faza eid ka chand talkhiyan badh gain jab zist ke paimane mein ghol kar dard ke maron ne piya eid ka chand chashm to wusat-e-aflak mein khoi 'saghar' dil ne ek aur jagah dhund liya eid ka chand