lafzon mein kaisa rang-e-maani dikhai de mere qalam mein aaj rawani dikhai de jaise ho sath-e-khwab pe ek be-sutun makan aalam tamam dosto fani dikhai de ye dagh dagh apna dil-e-gham nasib tha yaro nigar-khana-e-mani dikhai de tum talkh zindagi ke haqaeq se be-khabar tum ko hayat kyun na suhani dikhai de wo munjamid hai barf ki manind ai 'shamim' baaton mein jis ki shoala-bayani dikhai de