chhak gae hain aaj ek saghar se hum

chhak gae hain aaj ek saghar se hum
hath dho baithe mai-e-kausar se hum

but-kade mein ja ke us but ka pata
puchhte phirte hain har patthar se hum

qasd-e-sahra hai dil-e-viran ke sath
ek bayaban le chale hain ghar se hum

jab rag-e-jaan se kami karta hai khun
chhed dete hain use nishtar se hum

kis qadar katti hai rah-e-shauq jald
tez chalte hain tere khanjar se hum

kya kahen kis se kahen kis ke liye
phirte hain chaaron taraf muztar se hum

wo sitamgar ru-ba-ru hoga to 'dagh'
kya kahenge dawar-e-mahshar se hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close