chaal hum sab se chal gaya suraj kitna aage nikal gaya suraj jalte jalte pighal bhi sakta hai jab suna to dahal gaya suraj roz ki tarah kal bhi aaunga aaj bhi sab ko chhal gaya suraj sar chhapane ko jab jagah na mili kitne chehron mein dhal gaya suraj ek badli jo pas se guzri rang kitne badal gaya suraj tah karo khwab shab sameto ab phir safar par nikal gaya suraj dar gaya shahar ke makanon se waqt se pahle dhal gaya suraj