jis ne mere sar par tohmat rakkhi hai

jis ne mere sar par tohmat rakkhi hai
main ne us ke ghar ki izzat rakkhi hai

baat alag hai faqa-mast faqiron ki
thokar mein duniya ki daulat rakkhi hai

amrit jal le jao ki us ne hathon mein
kuan khodne-bhar ki taqat rakkhi hai

main ne to dutkar diya sau bar use
lekin us ne meri izzat rakkhi hai

safar bahut mushkil hai papi duniya ka
izzat ke pichhe hi zillat rakkhi hai

mazduron ko phal se kya lena-dena
un ke hisse mein to mehnat rakkhi hai

ghar ke bahar bhid lagi hai mangton ki
jaise mere ghar mein daulat rakkhi hai

man ka rutba sab se uncha hai 'sanjai'
us ke panw ke niche jannat rakkhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close