chaar-su barud ki bu chaar-su khauf-o-hiras band darwazon ke pichhe mard-o-zan sab bad-hawas us ke wadon par na kar tamir aasha ka mahal ret ke tile pe kyon rakhta hai is ghar ki asas sab amir-e-shahr ke zulm-o-sitam se jaan-ba-lab sab amir-e-shahr ke aage magar mahw-e-sipas yun siyasi faislon ne umr bhar raunda hamein is zamin-e-ilm-o-fan mein hum uge jaise ki ghas apne hi aamal se likhte hain hum apna nasib apne kandhon par utha rakkha hai khud apna cross aao apnaen murawwat dosti uns-o-wafa aao bhar len zindagi mein rang ras khushbu mithas badh gaya us par le kar naw wo apni 'shabab' main khada hi rah gaya tanha lab-e-sahil udas