hansi labon pe hai dil mein shaguftagi to nahin ye ek latif sa dhoka hai zindagi to nahin samajh raha hun ki apna bana liya hai unhen isi ka nam mohabbat ki sadgi to nahin laga raha hun labon ki hansi se andaza ki mere gham ki talab mein koi kami to nahin nafas nafas pe ye hota hai kyun mujhe mahsus hayat tujh se alag rah ke khud-kushi to nahin mere qarib se begana-war guzra hai main ajnabi use samjhun wo ajnabi to nahin ye kis liye meri aankhon mein aa gae aansu khayal-e-khatir-e-ahbab mein kami to nahin ye kis khushi mein manate hain jashn ahl-e-chaman kali ka khun hua hai kali hansi to nahin nafas nafas mein hai manus nikhaton ka khiram chhupa hua koi mere qarib hi to nahin samajh raha hun jise barq ki chamak 'shair' kahin wo mere nasheman ki raushni to nahin