chup hain paon to rahguzar khamosh waqt ki hir ka safar khamosh hijr ki bad-nasib galiyon mein chand phirta hai raat bhar khamosh kaun nikla hai khana-e-dil se kuchh dinon se hain baam-o-dar khamosh koi hangama bolta hi nahin sham ke lab pe chup sahar khamosh yaad ke pur-malal mausam mein phul khushbu hawa shajar khamosh ek khidki se ajnabi aankhen guftugu karti hain magar khamosh kyon 'shabana' muhajiron ki tarah phir rahi ho nagar nagar khamosh