chaar-su raqs-kunan hasrat-e-mismar ke sath umr dhal jae teri yaad ki diwar ke sath pahle aati hai hunar mein kisi tasir ki bu shaeri aati hai phir lahja-o-guftar ke sath wo bhi to shahr-e-tamanna se nahin laute hain hum bhi mahfil mein hain chup qalb-e-azadar ke sath chaaragar meri tabiat ka banate hain mazaq ye suluk achchha nahin aap ke bimar ke sath ek saya hai tere qad ke barabar koi chal raha hai jo meri hasti-e-bezar ke sath is liye aur kisi jalwe pe aankhen na jamin jashn-e-binai karenge tere didar ke sath