jazbaat ke qisse hain hunar lafz-gari hai diwane ko khairaat tere gham se mili hai palkon pe sajai hai jo ashkon ki ladi hai ek bhuli hui yaad ki taswir bani hai ai rahat-e-jaan raaz ye malum hai hum ko ek tere siwa jo bhi yahan shai hai buri hai khamoshi hai ab meri samaat ka taqaza pael ki khanak kan pe zanjir-zani hai madhoshi ka aalam hai use wahm-o-guman mein wahshat mein kise chaak-e-gareban ki padi hai dil zabt ki aatish mein jalaya hai musalsal patthar bhi pighal jae wo lafzon mein nami hai