zuhur mera azal se hai irtiqa ban kar isi tarah se main qaem hun silsila ban kar zamin pe kitne samandar meri talash mein the main aasman pe udta raha ghata ban kar siwae mere na tha koi jo mujhe sunta tamam dasht mein gunja hun main sada ban kar mere wajud ke andar hi sari duniya thi main dekhta raha duniya ko aaina ban kar na koi samt hai mere liye na manzil hai ki ibtida se chala hun main intiha ban kar har ek chiz jo dekhi hayat se 'ari main chha gaya rukh-e-mahtab par faza ban kar kabhi jo dasht-nawardi se waqt milta hai gulon ko chumta phirta hun main saba ban kar nigah milte hi sharma ke rah gaya koi chhupa hua tha main aankhon mein mudda'a ban kar wo raat jis mein dhadakte rahe hain hum donon wo raat kash phir aa jae hadisa ban kar hazar aag ke dariyaon se guzarna hai 'asar' hayat mili bhi to marhala ban kar