ishq hai gham jo sikhata hai fana ho jaana dard-e-dil hai jise aata hai dawa ho jaana dars-e-himmat hai nae rah-raw-e-ulfat ke liye kante pana to mera barahna-pa ho jaana ishq pyara hai to neamat hai gham-e-mahjuri in ka milna hai mohabbat ka juda ho jaana hosh la-hasli-e-shikwa-e-nakaami hai be-khudi mein mera raazi-ba-raza ho jaana ai pashiman-e-sitam ja ki jahan dekh chuka mera marna tere wade ka wafa ho jaana wasl-e-jaanan ki tamanna hai to mit ja pahle yun mayassar nahin bande ko khuda ho jaana sans ginta hun tamanna mein ki dekhun 'mani' gham-e-dil ka adab-amoz-e-fana ho jaana