chaara-e-kar hua had se siwa ho jaana ab mere dard ko aaya hai dawa ho jaana hum samajhte hain yahi kun-fayakun ka hasil ek khamoshi se tabassum ki ada ho jaana zindagi ka yahi rishta hai musibat ka sabab sans ukhadna girah-e-dil ka hai wa ho jaana ai dua mujh se shikayat hai jafa-karon ko tujh se ye kis ne kaha tha ki gila ho jaana ai ajal sham-e-sifat soz-e-mohabbat ke tufail aa gaya hai hamein aap apni qaza ho jaana bhul jaana na meri aah ko han yaad rahe un ke kuche mein agar tera saba ho jaana ye batane ki nahin baat jatane ki nahin khud-ba-khud chahiye izhaar-e-wafa ho jaana sikhiye lutf ki kamyab ise kahte hain kis ko aata nahin duniya mein khafa ho jaana jabr par sabr ko aasan na samajh banda-e-aql kaam himmat ka hai raazi-ba-raza ho jaana meri aahon se jo tufan-e-sharar utha tha bijliyan sikh gain us se bala ho jaana ek musibat hai musibat ki tamanna 'shakir' ek bala ho gaya himmat ka bala ho jaana