chashm-e-saqi ka tasawwur bazm mein kaam aa gaya bhar gai shishon mein mai gardish mein khud jam aa gaya muztarib dil ek tajalli mein faqat kaam aa gaya ibtida hi mein khayal-e-ibrat-anjam aa gaya husn khud-ara na yun hota hijab-andar-hijab shan-e-tamkin ko khayal-e-manzar-e-am aa gaya husn ne itna taghaful meri hasti se kiya rafta rafta zindagi ka mujh pe ilzam aa gaya intizar ab shaq hai ai saqi-e-paiman-shikan ghir gae baadal surahi aa gai jam aa gaya hum to samjhe the sukun paenge be-hoshi ke baad hosh jab aaya to phir lab par tera nam aa gaya khak aakhir ho gaya sab saz-o-saman-e-hayat kyun dil-e-barbaad-e-hasrat ab to aaram aa gaya ho gai aasudgi jhagda chuka rahat mili na-tawan tha dil nabard-e-ishq mein kaam aa gaya dil ne ki piri mein paida ghaflat-e-ahd-e-shabab subh ka bhula jo manzil par sar-e-sham aa gaya parda-e-duniya mein ab be-sud hain ye koshishen ai farem-e-ab-o-dana main tah-e-dam aa gaya rind mustaghni hain duniya se gharaz hum ko 'aziz' daulat-e-jam mil gai jab hath mein jam aa gaya