salim yaqin-e-azmat-e-sehr-e-khuda na tod mayus ho ke kasa-e-dast-e-dua na tod shiraaza-e-hayat bikhar jaega mera ai sang-zad shisha-e-ahd-e-wafa na tod kuchh aur hone de rah-e-manzil ko tez-gam ai khizr tu abhi meri zanjir-e-pa na tod teshe ki zarb sah nahin sakta har ek wajud aazar har ek paikar-e-sang-e-ana na tod chehre ki silwaton ka sabab aaina nahin nachaargi-e-umr-e-rukh-e-aina na tod is mutrib hayat mein zinda hai ragni ruk mutriba abhi tu ye saz-e-sada na tod bedar ho na jaen badan ki zaruraten ai shauq-e-be-panah fasil-e-haya na tod 'salim'-shujaa maut ki hai aarzu haram aaina-e-hayat ko yun be-khata na tod