yahan nahin hai wahan nahin hai idhar nahin hai udhar nahin hai magar kisi tarah dil nahin manta ki wo jalwa-gar nahin hai kisi bhi dar par ilaj-e-awezish-e-yaqin-o-guman na hoga idhar chala aa ki mai-kade mein agar nahin hai magar nahin hai hazar-ha samne ki baaton se jaan padti hai shairi mein wo kaun se pesh-e-pa mazamin hain jin pe meri nazar nahin hai jabin pe bindi nazar mein jadu labon pa bijli kamar pe gesu wo meri hairat ko dekhte hain unhen kuchh apni khabar nahin hai nahin jo qasid ka aana-jaana fareb khane laga zamana to ye haqiqat ki rabt-e-behad ko hajat-e-nama-bar nahin hai naqab uthne mein der kyon hai ye kaun samjhe ye kaun jaane kise khabar hai ki khwahish-e-did waqt se peshtar nahin hai ghalat-bayani se 'shad' ahl-e-sukhan abhi kaam le rahe hain nahin hai har-chand wo zamana dahan nahin hai kamar nahin hai