gardish-e-waqt se ladna hai jhagadna hai abhi chadhte suraj hain hamein aur ubharna hai abhi hausle duri-e-manzil se na thak jaen kahin kitni pur-khar si rahon se guzarna hai abhi nok-e-mizhgan pe utar aae hain aansu aise abr-e-baran ki tarah jaise barasna hai abhi us ko khwabon mein basa rakkha hai khushbu ki tarah aur tabir talak us ko thaharna hai abhi thokaren hum ko sambhalne ka sabaq deti hai barha tum ko 'sadaf' girna sambhalna hai abhi