chadhte tufan ko sahil se guzarna tha miyan rit ke ghar ko bahar-haal bikharna tha miyan kab talak panw ko tode hue baitha rahta rah-e-dushwar se rah-raw ko guzarna tha miyan itne manus the sayyaad se jate na kahin qaid mein par na parindon ke katarna tha miyan jab na samjhe to phir ab chhed ke pachhtana kya chashm-e-namnak mein ubla hua jharna tha miyan ishq ke gahre samundar mein gae kyun 'anwar' uthle pani mein agar dub ke marna tha miyan