gham-e-hayat ke pesh-o-aqab nahin padhta ye daur wo hai jo sher-o-adab nahin padhta koi to baat hai rudad-e-khun-e-nahaq mein kahin kahin se wo padhta hai sab nahin padhta kisi ka chehra-e-taban ki mah-e-rakhshanda jo padhne wala hai quran wo kab nahin padhta wo kaun hai jo tujhe raat din nahin likhta wo kaun hai jo tujhe roz-o-shab nahin padhta wo ab to is qadar izhaar-e-haq se darta hai agar likha ho kahin lab to lab nahin padhta na jaane in dinon kya ho gaya hai saqi ko nigah-e-rind mein husn-e-talab nahin padhta usi ka rang hai 'afsar' usi ki khushbu hai mera kalam koi be-sabab nahin padhta