har sawal ka apne khud jawab ho jae zarre ki tamanna hai aaftab ho jae tu kabhi jo bhule se be-naqab ho jae muntaqil haqiqat mein apna khwab ho jae ishq ke parastaro kuchh kami to hai warna bul-hawas mohabbat mein kaamyab ho jae ham-nafas khuda-hafiz ghuncha-o-anadil ka baghban ki niyyat hi jab kharab ho jae mai-kade mein tauba ka kis ko hosh rahta hai aur har nazar teri jab sharab ho jae