dhuan dhuan hain nigahon ki bastiyan kya kya chamak rahi hain khayalon ki bijliyan kya kya bhanwar ki aankh se takte hi rah gae tufan pahunch gai hain kinaron pe kashtiyan kya kya milegi meri bhi kisht-e-nazar ko sairabi har ek samt uchhalti hain naddiyan kya kya meri nigah ke daman ko khinch leti hain tere khayal ki gul-posh wadiyan kya kya sharab-khane ke diwar-o-dar damak utthe chhalak padin mere saghar se bijliyan kya kya sukhan ke shor mein sunta nahin koi lekin dilon mein gunj rahi hain kahaniyan kya kya 'nadim' shoabada-e-zindagi se aakhir-kar lahak rahi hain nigahon mein khetiyan kya kya