ye husn-e-tabassum ye kiran dekh rahi hai duniya tera andaz-e-sukhan dekh rahi hai shayad ki hai khurshid ki niyyat mein kharabi kyon dhup gulabon ke badan dekh rahi hai arman-e-safar dhup mein jine ka hai aadi sae ki taraf dil ki thakan dekh rahi hai hai manzar-e-hairat ki andheron ko meri aankh pahne hue kirnon ka kafan dekh rahi hai jis roz se aankhen meri ashkon se bhari hain hairat se unhen dil ki jalan dekh rahi hai aao ki lahu dan karen is ke liye hum hasrat se hamein arz-e-watan dekh rahi hai 'sajjad' hai be-kar tera husn-e-takallum duniya tere mathe pe shikan dekh rahi hai