ye gham bhi hai ki tere pyar ka dawa nahin karta khushi bhi hai ki apne-ap se dhoka nahin karta agar main ne tujhe duniya pe qurban kar diya to kya yahan insan jine ke liye kya kya nahin karta jo un sone ki dahlizon pe ja kar khatm hoti hain main un galiyon se ab tera pata puchha nahin karta wo jis par tu ne do dil ek nawak se guzare the main ab us ped ke sae mein bhi baitha nahin karta main apne-ap ko dhundunga apni shakl ke andar main apni be-dili ka aaina maila nahin karta main apne jism ke sahil pe teri aarzu likkhun yaqin ho gar ki pani ret se guzra nahin karta