kahin to intiha bhi ho kisi ke intizar ki jiyenge aur kab talak ye zindagi udhaar ki milegi fath ya shikast waqt hi bataega main lad raha hun zindagi se jang aar-par ki bhatak rahe the muddaton se hum bhi jism-o-jaan liye use bhi ek umr se talash thi shikar ki samajh sake na hum kabhi kisi ki be-yaqiniyan bhari hui thi aankh mein to dhul e'tibar ki junun hawa tadap hui khalish hui ki gham hua ye daulaten hain ishq ki ye neamaten hai pyar ki qadam mere jam hue hain ek hi maqam par wo khinch kar chala gaya lakir yun hisar ki use kisi ki tarah kyun bata rahe ho ai 'pawan' misal dhundte ho kyun khuda ke shahkar ki