miras-e-be-baha bhi bachai na ja saki ek zillat-e-wafa thi uthai na ja saki wadon ki raat aisi ghani thi siyah thi qindil-e-e'tibar bujhai na ja saki chaha tha tum pe warenge lafzon ki kaenat ye daulat-e-sukhan bhi kamai na ja saki wo sahar tha ki rang bhi be-rang the tamam taswir-e-yar hum se banai na ja saki hum madrasan-e-ishq ke wo honhaar tifl hum se kitab-e-aql uthai na ja saki wo tharthari thi jaan-e-sukhan tere ru-ba-ru tujh par kahi ghazal bhi sunai na ja saki