chahaten mausami parinde hain rut badalte hi laut jate hain ghonsle ban ke tut jate hain dagh shakhon pe chahchahate hain aane wale bayaz mein apni jaane walon ke nam likhte hain sab hi auron ke khali kamron ko apni apni tarah sajate hain maut ek wahima hai nazron ka sath chhutta kahan hai apnon ka jo zamin par nazar nahin aate chand taron mein jagmagate hain ye musawwir ajib hote hain aap apne habib hote hain dusron ki shabahaten le kar apni taswir hi banate hain yun hi chalta hai karobar-e-jahan hai zaruri har ek chiz yahan jin darakhton mein phal nahin aate wo jalane ke kaam aate hain