ruh ke daman se apni duniya-dari bandh kar chal rahe hain dam-ba-dam aankhon pe patti bandh kar ye kahani ek aise sar-phire mausam ki hai khushk patton se jo le aaya tha aandhi bandh kar haq agar koi numu ka tha to wo us ne ada kar diya hai baadalon se aabyari bandh kar subh hoti hai to kunj-e-khush-gumani mein kahin phenk di jati hai shab bhar ki siyahi bandh kar ai mere dariya agar koi bharosa ho tera chhod jaun main teri lahron se kashti bandh kar gam uthte hi safar ne pat di sari khalij rah-rawi ne dal di ek samt duri bandh kar main sarasar ek andesha hun naqs-e-amn ka mujh ko rakhta hai lihaza mera qaidi bandh kar ijz-goi par padaw dal deti hai meri lafz-yabi manawiyat se hai titli bandh kar khil rahe hain sar-zamin-e-dil pe jazbon ke gulab ud rahi hai aaj khushbu khud se titli bandh kar jaane sine mein bikau shai hai kya jis ke liye daudti phirti hain sansen rez-gari bandh kar wa hue hote dariche aaj imkanat ke gar na rakh deti hamein apni masai bandh kar