dastar-e-hunar bakhshish-e-darbar nahin hai sad shukr ki shanon pe ye sar bar nahin hai ab to ye makan qatl-gahen banne lage hain achchha hai wo jis ka koi ghar-bar nahin hai tahris-o-saza se nahin badlenge ye bayan hum ek bar nahin jab hai to har bar nahin hai har ek pe khul jae bila farq maraatib aisa ho to dahliz pe darbar nahin hai aa jae tawazun mein ye mahaul ki mizan insaf ke palde mein magar bar nahin hai zulmat se nikal aaen chamakte hue raste par mashal-e-ehsas sharar-bar nahin hai hath aaega kya sahil-e-lab se hamein 'anjum' jab dil ka samundar hi guhar-bar nahin hai