chahne ki na intiha rakhiye jaan se bhi use siwa rakhiye ishq karne ka gar irada ho ghar lutane ka hausla rakhiye phul mahkenge us ki yaadon ke taza yaadon ka silsila rakhiye koi bhi rut ho koi mausam ho zakhm dil ka hara-bhara rakhiye ye pari-zadgan hain shoala-nazhad in se miliye to fasla rakhiye khema-e-jaan ye khauf-e-shab-khun hai kam se kam khud ko jagta rakhiye bhul jaen har ek qisse ko yaad lekin wo hadsa rakhiye har jagah se zamin sarakti hai panw rakhiye to kis jagah rakhiye har muhim mein ba-shart-e-paspai wapsi ka bhi rasta rakhiye shairon aur gadagaron mein aap farq thoda sa to rawa rakhiye jo bhi karna hai aaj kar lije kaam farda pe kya utha rakhiye koi aae na aae dil mein 'azim' dil ka darwaza par khula rakhiye