hum ahl-e-qalam ahl-e-wafa ahl-e-nazar hain hum shahr mein rahte hue bhi shahr-badar hain dohraegi jin namon ko tarikh tumhaari is shahr mein un logon ke tute hue ghar hain raij hua ye kaun sa qanun ki phir ab sannata hai bazaron mein sunsan nagar hain aisa bhi nahin waqt ke tewar ko na samjhun is daur ke haalat mere pesh-e-nazar hain aae to koi dast-e-sitam ahl-e-junun tak hum log bhi ab apni jagah sina-sipar hain dam todne wali hai mere shahr ki zulmat jo zulm ke aiwan the wo zer-o-zabar hain aise bhi junun-pesha hain kuchh log jahan mein muddat se jo manzil ke liye garm-e-safar hain kya daur hai jo dida-e-bina nahin rakhte wo log bhi shaista-e-adab-e-nazar hain tauqir-o-sataish hai yahan be-hunaron ki mahrum-e-sataish hain to bas ahl-e-hunar hain