chahta hun ki tera hijr musibat na lage

chahta hun ki tera hijr musibat na lage
ab koi zakhm tere gham ki badaulat na lage

us ki yaadon ka safar khatm karun roe baghair
ghair mumkin hai ki is kaam mein hikmat na lage

zarf tute hue kashkol se gir sakta hai
aisi imdad se bachna jo sakhawat na lage

shahr-dar-shahr mujhe khak udani hai magar
is pe ye shart masafat bhi masafat na lage

aao aamal-tarashi ki rehearsal kar len
taki jab us ko pukaren to mashaqqat na lage

ek sajda meri peshani ko darkar hai jo
hasb-e-taufiq lage hasb-e-zarurat na lage

tab main samjhunga ki is nafs ne khai hai shikast
raegan shai jo mujhe mal-e-ghanimat na lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close