chahta ye hun ki benam-o-nishan ho jaun shama ki tarah jalun aur dhuan ho jaun pahle dahliz pe raushan karun aankhon ke charagh aur phir khud kisi parde mein nihan ho jaun tod kar phenk dun ye firqa-parasti ke mahal aur peshani pe sajde ka nishan ho jaun dil se phir dard mahakne ki sadaen utthen kash aisa ho main teri rag-e-jaan ho jaun bas tere zikr mein kat jaen mere roz-o-shab nur ki shakh pe chidiyon ki zaban ho jaun khak jis kuche ki malte hain farishte aa kar main usi khak ke zarron mein nihan ho jaun meri aawara-mizaji ko sukun mil jae dard ban kar tere sine mein rawan ho jaun