chain furqat mein kabhi sham-o-sahar ne na diya dard-e-dil ne to kabhi dard-e-jigar ne na diya jab bhi aaya hai teri zulf-e-pareshan ka khayal meri suljhi hui fikron ko sanwarne na diya the pareshan to bahut umr-e-rawan ke auraq hum ne shiraaza-e-ulfat ko bikharne na diya imtihan zarf ka rindon ke raha pesh-e-nazar aaj saqi ne kisi jam ko bharne na diya sham-e-furqat ki hawaen to bala ban ke rahin muzhda-e-wasl kabhi baad-e-sahar ne na diya aa gaya sabr-o-tawakkul na rahi hirs-o-hawas be-zari ne wo diya mujh ko jo zar ne na diya chalte rahte hain yunhi rah-e-wafa mein 'saqib' ab bhi manzil ka pata rah-guzar ne na diya