dil-e-hazin ko alam mein qarar bhi to nahin mizaj-e-yar pe kuchh ikhtiyar bhi to nahin abhi se dasht-nawardi ki fikr kyon dil ko chaman mein aane ko fasl-e-bahaar bhi to nahin main kaise man lun apne ko jaan-nisaron mein meri wafa ka tumhein eatibar bhi to nahin hamara shukr teri neamaton ke aage kya tere karam ka hai koi shumar bhi to nahin raha ye ghuncha-e-dil na-shagufta misl-e-khizan girah-kusha-e-tabiat bahaar bhi to nahin tumhaare wadon pe ab kis tarah yaqin aae wafa hua hai kabhi ek bar bhi to nahin basar kare koi wahshi bhi dasht mein kyunkar koi darakht yahan saya-dar bhi to nahin ab un ki shan-e-taghaful ka kya gila kije jab apne dil pe mujhe ikhtiyar bhi to nahin ho 'saqib' aap ko ahl-e-watan se shikwa kya ki khaksar gharib-ud-dayar bhi to nahin