chain se katti thi kuchh gham se sarokar na tha wo bhi kya din the ki jab ishq ka aazar na tha be-sabab aur ye ilzam lagaen kaise qabil-e-rahm hamara hi dil-e-zar na tha ishq karte hi hue apne parae dushman baat karne ka koi mujh se rawadar na tha teri is zid ne mohabbat mein mujhe met diya shaghl achchha ye tera dida-e-khun-bar na tha be-wafa dil ke ye bartaw na bhulenge kabhi goya hum se kabhi kuchh us ko sarokar na tha de dua mujh ko shab-e-gham tujhe mehman kiya koi duniya mein tera aur talabgar na tha hum se jab tak ki rahi rasm-e-mohabbat qaem is tarah aap ka charcha sar-e-bazar na tha qais ke baad junun ki mujhe jagir mili dusra aur koi dasht ka haqdar na tha khatm qissa karo insaf se itna kah do hum se wada na tha hum se koi iqrar na tha hum ko shikwa nahin kuchh un se jafa ka aslan asl ye hai ki hamein ishq saza-war na tha ab rasai bhi to us bazm mein aasan nahin pahle aisa to kabhi majma-e-aghyar na tha sakhtiyan jhelna farhad bahut mushkil tha jaan dena to rah-e-ishq mein dushwar na tha waizo koi sabab us ka bata sakte ho mustahiq khuld ka kyon rind-e-qadah-khwar na tha ye bhi ek chhed thi jo puchh liya mujh se mizaj muddaa aap ka kuchh pursish-e-bimar na tha hum kahan khwahish-e-jannat mein bhatakte phirte ji ke bahlane ko kya kucha-e-dildar na tha puchhte bhi wo agar mujh se na kahte banta muddaa aisa tha jo qabil-e-izhaar na tha main bhi kuchh arz karun aap jo naraaz na hon pas wade ka kabhi aap ko sarkar na tha shama par ho gaya kis shauq se parwana nisar kaam himmat ke liye koi bhi dushwar na tha nazr-e-dil kar diya aur jaan bhi sadqe kar di phir bhi main aap ke nazdik wafadar na tha is tarah sunta hun gulshan ki qafas mein baaten jaise dekha kabhi main ne gul-o-gulzar na tha jhelna pad gae ulfat mein masaib aise jin se waqif na tha pahle se khabar-dar na tha apne begane ki takhsis na thi kuchh 'ishrat' kaun tha ishq mein jo darpai-e-azar na tha