chakkhi hai lamhe lamhe ki hum ne mithas bhi ye aur baat hai ki rahe hain udas bhi in ajnabi labon pe tabassum ki ek lakir lagta hai aisi shai thi kabhi apne pas bhi mansub hongi aur bhi us se hikayaten ye zakhm-e-dil ki aaj hai jo be-libas bhi phaila hua tha sadiyon talak us ka silsila dariya ke sath sath badhi apni pyas bhi 'nasir' ko ro raha hun ki tha mera ham-sukhan go us se ho saka na kabhi ru-shanas bhi