tasawwur mein bhi jis ki justuju karta hai dil mera usi se hijr mein bhi guftugu karta hai dil mera nadamat se gunahon par jo roti hain kabhi aankhen inhi pakiza ashkon se wuzu karta hai dil mera teri yaadon ke khanjar zehn ko jab chaak karte hain use jhuti tasalli se rafu karta hai dil mera jasarat dekhne ki jis ko koi bhi nahin karta usi se do-do baaten ru-ba-ru karta hai dil mera guzare the jo mad-hoshi ke aalam mein kabhi 'sahil' unhi lamhon ki phir se aarzu karta hai dil mera